TAKHT
Yeh kursi taakat ki
Badi nayab hai
Durbar ka shaan hai
Riyazaat ka maan hai
Sunsan andhero mein
Jalta hua aag hai
Chandi se likha hua
Zindegi ka raag hai
Abham ki mehfusgi ki yehi darkhwast hai
Hukumat ki labhs hai
Fateh ki aks hai
Yeh jaan-e-jahan hai
Jiske tasreef ho inme wahi toh mahan hai
Par iss sunhere alam ka kai badnaam hai
Jaise har savere ka hota ek shaam hai
Jung o ke pichhe toh yehi wajah hai
Hukumat dua hai, toh yeh bhi toh sazaa hai
Shahadat isike naam,
Bagawat isipe
Itihaas gawah hai
Chahat isike
Sar kataye lakho ne
Sarafaroshi karke
Yeh jahan bhi mit gaya
Yeh rutbe se ladke
Shamsheer pe likhha yeh khun ka nagma hai
Khokar ise huye kitno sadma hai
Lahuluhan huye kitne
Mit gaye toofan mein
Waqt jaane saare kisse
Waqt hi bayan hai
Taare tute ek ek kar
Rakhe kaun hisaab hai
Jeete chahe koi bhi
Hai Sufi ya wo Bhakt hai
Sabb bikhar jaate hai
Kanun barey hi sakht hai
Rotey hai imamvale
Hasta bss yeh Takht hai
--- Lucifer Khusrao
Comments
Post a Comment