GADDAR
Palatne mein der nahi lagta hai inko
Na lagta hai der yeh karne mein inkaar
Ki zindegi ke mushkilo mein thhey jo saath unke
Wahi aaj hogaye dekho sabse zyada bekaar
Kuchh kharab labhso se
Yeh dete hai samjha
Tumhari abb nahi zarurat
Mein nahi tera Ranjha
Keh dete hai saaf saaf
Madat lena unki farz tha
Galtiya toh bass meri hai
Kiya jo meine arz tha
Jasbaat tumhari toh katai befizul hai
Zyada hogaya tha na, isliye thodi le liye
Dil todna toh inka ahem maksat hai
Lootke uss ashiq ko karna jo rukhsat hai
Ansuo ki, dukh hone ki inko kya hi fark hai
Lalach mein toh dube hai, bewafai harf hai
Raato raat jagke jo mehnat tumne thhey kiya
Wo toh thhey bass kuchh nahi, shukriya toh keh diye
Itna tak toh fir bhi yeh kahani thodi thik tha
Iss ke baad jo hua uska kare kya bayan
Jisne haath pakde thhey aaj dekho yeh unhi ke
Ban gaye hai dushman yeh besharam behaya
Tol rahe hai unki awkad ko yeh husn se
Kehti hai, ki rehem kiya tumse baat karke mein
Kardiye hai wo burai har jaga har chauk pe
Hath hai milayi mujhse jalne vale shaks se
Soch rahi hai mere khilaf hojayegi khadi
Aur kehegi sahelio se dekh meine kya ladi
Toh sunle aaj tu bhi bewakuf khopdi
Tujhko bhi hogi ruswa har peher, har ghari
Jo tujhey mili khushi unki mein kirdar hu
Tu agar riyazat hai, toh mein bhi sarkar hu
Jis fateh hi malhar aaj tu hai kar rahi
Uss jashn mein dhunke dekh, mein hi toh gulal hu
Teri har sawalo ka mein khaulta jawab hu
Lakdi tune hai diye, par mein hi unki aag hu
Jo kare andhere dur mein wo chirag hu
Jo gul tu hai khila rahi, mein unhi ka baag hu
Karle chhahe jo bhi marzi
Tod na mujhko payegi
Meri kamiyabi dekh, khud hi jal jaeygi
Jo teri tauhin hai, wo hausle hai meri
Dekh lenge kaun kaha hai, kiski naam hai badi
Aage bass abb khush hi rehna
Yehi dua chahunga
Dil se toh na mein kabhi tujhko mita paunga
Par zindegi mein chahe kuch gul khile ya na khile
Teri jaise GADDAR, mujhko kabhi na mile.
--- Lucifer Khusrao.
Comments
Post a Comment